About Me

My photo
I am a confused soul, trying to find the meaning of life. And I feel, there is no better way to see things clearly than to write them down. So I write...oops..type ;)

Thursday, May 24, 2007

Mutthi bhar yadein (in Hindi)

Ek lamha gira, zindagi thi meri,
panchhiyon si udi, khwahishein thi meri;
tinnka tinnka mila, ghosalaa ban gaya,
ek jhonka hua, bas yaadein reh gayi.

woh dost the mile, ya naye gul khile,
karwaan tha naya aur naye silsile;
saadagi se bhare, naram woh piyale,
kilkilati hansi ke jude kaafile.

ek ehsaas tha, ek vishwaas tha,
ankahe labzo ka ek andaaz tha.
ek pal jo lade, fir naya pal jiye,
mitti ke teelon sa apna sansaar tha.

fir mude chal diye apni raahein liye,
main bhi tha badh chala, laakho sapne liye;
adchanein thi kayei, the magar humsafar,
aur irshya bhari woh anjaan nazar.

har ghadi dekhu main, is andherein tale,
khwabon ka janazaa, roop sehra liye.
kaash ji loo agar, fir woh maasoom pal,
karwatein thi meri, aainaa ban gayi.

No comments:

Post a Comment