Ek waqt beeta, chand lamho jaisa,
aayi sandhya, fir bhor ka intezaar kaisa;
Do pal ki mulaqat thi, fir yeh gham kyu,
guzarta jhoka hi to hai, fir yeh aalam kyu.
Kuch is tarah aye who mere jahan mein,
navjivan wani liye zaban mein,
Maddham hui zindagi, shor-e-halaal se,
pariyon ka saya ho jaise kapal pe.
Har mushkil mein unki yaad aati hai
yakeen hai , uchit marg dikhlati hai,
Man mein guru ka sthan deta hoon ,
aapke satkaar mein shish jhukata hoon.
Ab udasi si chayi hai is man me,
jo gham ki syahi se likhi is kagaz mein,
Kya kahe zindagi kuch aise hi fisalati ja rahi hai,
par aisa kyu hai ki kuch apno ko jane bina hi ,
…………. wo hamse ruksat ho leti hai.
No comments:
Post a Comment